Tuesday 13 September 2011

Ali Zafar speaks his mind about Mere Brother Ki Dulhan

Ali Zafar aka Luv Agnihotri, plays the character of Imran Khan's brother in Mere Brother Ki Dulhan, who wants to get married by Diwali! This multi-talented star has received a lot of praise from critics as well as audiences for his portrayal of the suave, charming elder brother. Here are some interesting answers from his interview



Q. Tell us about your character in Mere Brother Ki Dulhan.
The character that I'm playing is Luv. Luv is Kush's brother and they have a very interesting relationship with each other. Luv is a little loud, a little flamboyant, with the history of... not having had many good relationships with his ex's. Luv - jiska character main play kar raha hoon, ek bahut hi maze ka... interestingly maze ka, ajeeb sa, ajeebo-garib sa... playful bhi hai, thoda confused bhi hai, ekdum se focus bhi ho jata hai ki use kya chahiye zindagi mein.

Q.  Your experience on Mere Brother Ki Dulhan.
Mere nazdik, sabse zyada jo cheez matter karti hai woh hain log, jo us log se jude hue hote haih, us project se jude hue hote hain. Yahan par bhi jo log isse jude hue the, woh achhe log hain saare, toh isliye kaam karne ka mazaa bhi aata hai… dil se insaan ek adaakar ka kaam karta hai.

Q. Your experience while shooting across Indian cities.
Mere liye woh experience bahut hi yaadgaar experience tha because maine Punjab pehli dafa dekha. Chandigarh mein jab gaya, toh wahan ke khet khaliyan balki ek jagah pe mujhe yaad hai- us din mera shoot toh nahin ho paya or uska mujhe faayda hi hua - us time mein maine baithe baithe do-teen composition or gaane bana liye, likh liye. different jagah par jaa ke, different culture dekhna, Delhi Mosque jaana, aur different jagahon par janaa... har jahah ka ek mukhtalif culture hai. Shooting ke dauran, mere khayaal mein… woh kya tha, hotel ajeeb sa… Patiala... haan wahan bada maza aaya kyunki unke bahar ek cricket ground toh nahin, ground bana hua tha toh wahan par maine jab Ali Abbas Zafar ko, teen ballon pe teen chakke jo lagaye toh tabse bada maza aana shuru ho gaya tha. Sabne cricket kheli saath mein.

Q. Your experience while shooting with co-star Katrina Kaif.
What I really like about her is that she is very very hard working and professional, very sorted when it comes to her work… Aur bahut intelligent hai actually… so yeh cheez mujhe bahut bhaayi unki, aur I think this film is very important film for her and it will also show on the screen. In all honesty, I do think... I do think that its her film, in a way, the way her character and the way she is portrayed it, its fantastic...

Q. Your experience while shooting with co-star Imran Khan.
He doesn’t make things difficult, he makes things easier and a lot of fun to work with so I feel very lucky that I got to work with Imran.
We worked as friends, as brothers and had a great time. He had a lot of interesting facts to share… because Imran is all about lot of facts so... obviously lot of interesting conversations and we also shared lots of iPhone apps.

Q. Your experience shooting the Madhubala song
Madhubala mein decision liya gaya ke kaunsa woh aisa din ya waqt ki actor-actress ko bulaaya ya nachaaya jaaye... ki jab woh bilkul khatam ho jaayein. Toh decide kiya gaya June July ki garmi honi chahiye aur dopahar ka outdoor shoot hona chahiye, aur 4-5 din mein shoot hona chaahiye. Toh aise hi hua.. shidatt garmi thi or main jaise ki... matlab actor toh chhodiye door ki baat hai, dancer-wancer bhi bas theek hi hoon. Toh usmein jo Madhubala ka jo dance tha maine 2 din rehearsal ki, thanks to Bosco-Caeser ki woh thoda bahut usne haath pair chalana sikha diye thhe toh shoot ke dauran bahut mazaa aaya kyunki woh bhaang-waang pee ke gaana karna tha.

Q. Why should one go and see Mere Brother ki Dulhan?
Theater me jaayenge, line lagi hogi bahot lambi, film ke baaher seat nahi milegi, 5-6 roz baad seat milegi,  baithenge log sitiya-vitiya maarenge or aapko hasna padega bahot zyada, enjoy karke wapis aajaayenge, kya maza aayega or fir dosto ko bataaenge yaar film dekhne zaroor jana (Laughs)







No comments:

Post a Comment